maa ki jaa'n aun-o-mohd
ho kaha'n aun-o-mohd
kam sukhan zainab ke pyaare sheh kijaa'n aun-o-mohd
jab se tum maqtal sidhare roti hai madar tumhari
margaye darya kinare jaweeda'n aun-o-mohd
alqama se laal dono aaye jo tashna palatkar
ye nahi bhulegi duniya dastaa'n aun-o-mohd
jaan mamu par lutayi yu'n shahadat tumne paayi
ho gaya taraaj mera gulsita'n aun-o-mohd
goud ke paale nahi hai jeena hai dushwaar mera
mujhko bulwaalo waha'n par ho jaha'n aun-o-mohd
bhool kar betou ko apne bhai ka matam kiya hai
aaj yasrab me hai maa ki bus fugha'n aun-o-mohd
nasl mitjaane ka dawar daagh zainab ne jo paya
ab talak taza hai dil ka wo nasha'n aun-o-mohd