Haidar ka Laal aur Wo Zehra ka dilruba
Saqqaye Ahle Bayt Alamdaare ba wafa
Abbas se jari ko na thi jang ki riza
Hasrat jihad ki liye maqtal me sogaya
Maatam hai aaj Dilbare Ummul Baneen ka
Abbas Muztarib the badan tha lahu me tar
Kya jaane kya guzar gayi Us par kise khabar
Allah Jaane kaise gira hai Wo khaak par
Shaane juda the aur tha Sar bhi shigaafta
Maatam hai aaj Dilbare Ummul Baneen ka
Bhai ka haal dekh keRoe Shahe umam
Ummul Bani'n ke Laal pa kya kya huwe sitam
Zakhmon se choor hogaye sahaane huwe qalam
Sar hogaya shigafta mashkeeza chhid gaya
Maatam hai aaj Dilbare Ummul Baneen ka
Farmaya Sheh ne kaisi ye neend aagayi Tumhein
Abbas HamTumhari Sakina se kya kahein
Is tarhaBhai chhorh ke Jaao na Tum Hamein
Utho ke de rahe hain Tumhe kab se Ham sada
Maatam hai aaj Dilbare Ummul Baneen ka
Bachchon ko intezaar tha Abbas aaenge
Boli Sakina MereChacha paani laaenge
Ammu Hamare pyaas sabho'n ki bujhaenge
Lekin Haram ka Paasbaa'n waapas na aa saka
Maatam hai aaj Dilbare Ummul Baneen ka
Aya kamar ko thaame jo Zehra ka Noore Ain
Pyaasi Sakina Baap se karne lagi ye bain
Ammu baghair aaega kis tarhaHam ko chain
Bole Hussain margaya Beti Tera Chacha
Maatam hai aaj Dilbare Ummul Baneen ka
Zainab lipat ke Bhai se karne lagi ye bain
Maajaay kuch to bolo ye kaisa hai shoro shain
Sar ko jhukaay rote ho kis waaste Hussain
Sheh ne kaha Bahan Mera Abbas Margaya
Maatam hai aaj Dilbare Ummul Baneen ka
Aansu Hamare karte hain paihamTujhe Salam
Abbas mushkilon me toAata hai sab ke kaam
Adna ye hai Rasheed Shaheedi Tera ghulaam
Hai Tere Gham me is ke bhi lab par yehi sada
Maatam hai aaj Dilbare Ummul Baneen ka