Kanz e Aza

Maa ki Tarah Palna Fizza

A noha for Shehzadi Fatima (s.a), written by Fakhri Meeruthi (2026). Lyrics in Roman Urdu.

Zahra ka tha nouha fizza Meri fizza


Ye meri wasiyat na kabhi talna fizza

baccho'n ko mere maa'n ki tarha palna fizza


Ab lagta hai duniya me nahi mera thikana

hasnain ke baba ko ye paigham sunana

tarikiye shab me meri mayyat ko uthana


Ye meri wasiyat na kabhi talna fizza

baccho'n ko mere maa'n ki tarha palna fizza


rukhsat pe bhi lagta hai ke rukhsat nhi tumse

taa umr mujhe kuch bhi shikayat nhi tumse

ab iske siwa koi wasiyat nhi tumse


Ye meri wasiyat na kabhi talna fizza

baccho'n ko mere maa'n ki tarha palna fizza


sab jante hain maine tumhe samjha h bahna

ghar aaye mere bacche to khamosh hi rahna

unse meri rehlat ka koi haal na kahna


Ye meri wasiyat na kabhi talna fizza

baccho'n ko mere maa'n ki tarha palna fizza


har lmha mere baccho'n ke rahna h tumhe paas

rakhna h mere baccho'n ke dukh dard ka ehsas

mat bhulna shabbir ko lagti h bhut pyas


Ye meri wasiyat na kabhi talna fizza

baccho'n ko mere maa'n ki tarha palna fizza


ruksat ki ghadi h mera dil hota h bezaar

bus ek yehi baat to kahti hoo'n main so baar

tum rahna hamesha mere baccho'n se khabardaar


Ye meri wasiyat na kabhi talna fizza

baccho'n ko mere maa'n ki tarha palna fizza


rishta ye muhabbat ka kahi'n tod na jana

mushkil ki ghadi aaaye to munh mod naa jana

baccho'n ko musibat me mere chod na jana


Ye meri wasiyat na kabhi talna fizza

baccho'n ko mere maa'n ki tarha palna fizza

ae ahsano fakhri ye baya'n karti thi zehra

dum hontho'n pe tha aur fuga'n karti thi zehra

ek dil ki tadap thi jo aya'n karti thi zehra


Ye meri wasiyat na kabhi talna fizza

baccho'n ko mere maa'n ki tarha palna fizza