hassan hussain ki zakhmi ghareeb maa zahra
tamache khaati hai beton ke darmiyan zahra
kamar ke saath shikasta huye hai baazu bhi
tumhari tooti nahi sirf phasliyan zahra
hassan hussain ki zakhmi...
jo saans leti hai pehlu may dard badta hai
ke ab to le bhi nahi sakti hichkiyan zahra
hassan hussain ki zakhmi...
tamacha maara hai zaalim ne is tarha tum ko
zameen pe toot ke bikhri hai baaliyan zahra
hassan hussain ki zakhmi...
hassan hi jaane ke masjid se ghar tak aate huye
tamache khaake giri hai kahan kahan zahra
hassan hussain ki zakhmi...
chupaye kaise ali ki nigaah se fizza
tere lahoo se bhara hai tera makaan zahra
hassan hussain ki zakhmi...
kuch aur badti hai dushwaari saans lene may
kahin jo sunti hai bachon ki siskiyan zahra
hassan hussain ki zakhmi...
ali se pooch rahe hai hussain rote huye
kya taaziyane ke khaabil hai meri maa zahra
hassan hussain ki zakhmi...
koi salaam ka deta nahi jawab usay
hai tanha faatah e khyber ki qadr daan zahra
hassan hussain ki zakhmi...
bacha ke laayi hai khanjar talay se apna imam
badi ameer thi zainab tumhari maa zahra
hassan hussain ki zakhmi...
hussain tadpe takallum na kyun tahe khanjar
tumhare haath pe durron ke thay nishan zahra
hassan hussain ki zakhmi...