mai jahan jaun mere andar basi hai karbala
banke dhadkan mere dil mein goonjti hai karbala
mere seene mein azal se bas raha hai ya hussain
ye jo dhadkan ki musalal ek sada hai ya hussain
har ghadi awaazein mujhko de rahi hai karbala
mai jahan jaun...
gooonjte hai ya hussaina se musalsal baam o dar
chauda sadiyan se hai jaari sheh ke matam ka safar
is tarha seena ba seena chal rahi hai karbala
mai jahan jaun...
maa ne dikhlaya hai rasta farsh e majlis ka hamein
halqa e matam mein lekar aaye hai baba hamein
godh se maa baap ki humko mili hai karbala
mai jahan jaun...
shaam o kufa ke safar mein bediyan thaame rahi
tauq ka bosa kabhi zanjeer ka bosa kabhi
abid e bemaar se lipti hui hai karbala
mai jahan jaun...
taaziyane khayegi himmat magar dikhlayegi
shaam tak mazloom ka paigham le kar jayegi
sheh ki mayyat se qasam kha kar uthi hai karbala
mai jahan jaun...
sabr waale taaza dam hai zulm waale thak gaye
khanjaron ne haar maani naize waale thak gaye
peeche hatne ki jagah aage badi hai karbala
mai jahan jaun...
hai kahin akbar jawan ka sar kahin baysheer ka
sar bureeda hai kahin abbas ka shabbir ka
noke naiza pe safar karti rahi hai karbala
mai jahan jaun...
be-kafan us syed o sardar par laakhon salaam
ek din hoga takallum uske khoon ka inteqam
muntazir ibne ali ki aaj bhi hai karbala
mai jahan jaun...