Kanz e Aza

Mere Asghar Kahan

A noha for Ali Asghar (a.s), written by Urooj Bijnori. Lyrics in Roman Urdu.

mere asghar kahan ho aajao

raat ka waqt hone wala hai


shaad yazdan to kar diya tumne

khuld veeran to kar diya tumne

nazr shehda ko kar diya tumne

surkh roo maa ko kar diya tumne

mere asghar kahan…

raat ka waqt…


pani peene gaye thay maqtal mein

lab dikhane gaye thay maqtal mein

teer khane gaye thay maqtal mein

dil dukhane gaye thay maqtal mein

mere asghar kahan…

raat ka waqt…


mere asghar ye kya kiya tumne

teer gardan pe kha liya tumne

maut ka jaam yun piya tumne

has ke sab ko rula diya tumne

mere asghar kahan…

raat ka waqt…


ansuon se lahoo ko dhoti hai

aur ghusse se laal hoti hai

khod kar qabr jaan khoti hai

shaah ki zulfiqar roti hai

mere asghar kahan…

raat ka waqt…


yun andhero mein ki ziya tumne

kaam mushkil tha jo kiya tumne

bujh raha tha jo wo diya tumne

andhiyon mein jala liya tumne

mere asghar kahan…

raat ka waqt…


chal base mujhse rooth kar haye

maine kapde naye na pehnaye

baal bikhre hue na suljhaye

kaun ab maa ke dil ko behlaye

mere asghar kahan…

raat ka waqt…


ban ki wehshat tumhe rulayegi

neend kis tarha tum ko aayegi

kya kya sadme na maa uthayegi

tumko pehlu mein jab na payegi

mere asghar kahan…

raat ka waqt…


gham galay se laga rahi hoo

khaali jhoola jhula rahi hoo mai

khoon ke aansu baha rahi hoo mai

ab suye shaam ja rahi hoo mai

mere asghar kahan…

raat ka waqt…


ay urooj ab urooj par gham hai

dono aalam mein shor e matam hai

jisko dehru mein aaj gham kam hai

maa ke dil ki pukar payham hai

mere asghar kahan…

raat ka waqt…