Kanz e Aza

Sache Khwab ki

A noha written by Urooj Bijnori. Lyrics in Roman Urdu.

sache khwab ki sach hogi tabeer zaroor

haq par denge qurbani shabbir zaroor


ashke ghame shabbir hai jiski aankhon may

usko milegi jannat ki jageer zaroor

sachey khwab ki…


khaake shafa ka noor hai mere maathe par

roze qayamat chamkegi taqdeer zaroor

sachey khwab ki…


kaaba dekhne waale karbobala bhi dekh

padna hai quran to pad tafseer zaroor

sachey khwab ki…


hum ko janab e fatema zehra ki hai dua

karte rahenge zikre ghame shabbir zaroor

sachey khwab ki…


asghar ki jaanib jo chala tha keh dega

mehshar may wo saari kahani teer zaroor

sachey khwab ki…


hal min nasir ki jab denge shaah sada

gir jayega jhoole se baysheer zaroor

sachey khwab ki…


bheegi hui phir kyun hai lehad ye asghar ki

qabr bana kar roye hai shabbir zaroor

sachey khwab ki…


sabr agar ban jaata hai talwaar urooj

kat jaati hai zulm ki har zanjeer zaroor

sachey khwab ki…