maa aun-o-mohd ki hu'n zainab hai mera naam
taqdeer ki maari hu'n mai hu'n zainab-e-nakaam
ye dono pisar saath me laayi hu'n watan se
bhai pa mere dono ko qurbaan mai karke
lashou pe baja laaungi mai shukr ka sajda
hai meri wasiyat jo tum maqtal ko sidharo
darya ki taraf rukh bhi na karna mere pyaro
tum ban ke yaha'n aaye ho maa baap ka fidya
maidaan ki ijazat me kyu'n ta'qeer hai beta
qurbaniye awwal me rahe naam tumhara
dekhu'n mai sabhi khoon se tar dono ka lasha
lo paake ijazaat chale zainab ke dulare
ladte bhi kaha'n tak the wo seh roz ke pyase
maqtal se sada aaqri di ya shahe wala
jab sunke sada run ko chale sarwar-e-aalam
aaye jo nazar lashe to karne lage matam
aankhou'n se rawa'n ashkou ka hone laga dariya
khaime me chale aaye wo sar apna jhukaye
zainab se kaha laal tere leke hum aaye
godi me liye lashou'n ko karte rahe girya
tan aun-o-mohd ke sab zakhmou se saje the
the choor sabhi pasliyaa'n abru bhi kate the
saidaaniya'n sar peet ke kehti thi khudara
allah kisi maa ko ye manzar na dikhaye
koi na sohail istarha se daagh uthaye
jis tarha se zainab ka huwa qalb shikasta