Kanz e Aza

Maa Bhi Na Ho

A noha for Shaam e Ghareeba, written by Zeeshan Abidi. Lyrics in Roman Urdu.

ehsaas e yateemi hai veeran hai ali ka ghar

bin baap ke ye pehli raat aayi hai bachon par

roti thi kahin zainab shabbir kahin shabbar

fizza ne ye dekha to kehne lagi ro ro kar


maa bhi na ho dunya mein aur baap bhi mar jaye

allah kisi par bhi ye waqt nahi aaye


ye raat khuda jaane kis haal mein guzregi

bachon ki nigaahon mein tasveer hai baba ki

baba se juda ho kar kis tarha jiya jaye

allah kisi par bhi...

maa bhi na ho dunya...


mayyat jahan rakhi thi zainab wahin baithi hai

abbas ke chehre ko ab dekh ke roti hai

kehti hai koi mere baba ko bula laaye

allah kisi par bhi...

maa bhi na ho dunya...


haathon mein ruqayya ke baba ka musalla hai

kulsoom ke haathon mein baba ka amaama hai

baba nahi aayenge ab kaun ye batlaye

allah kisi par bhi...

maa bhi na ho dunya...


maa yaad jo aaye to ho aate thay turbat par

ruqsat kiya baba ko hasnain ne ye keh kar

milne kahan jayenge jab baap ki yaad aaye

allah kisi par bhi...

maa bhi na ho dunya...


ab mujhko rulaata hai shahzadi ka wo kehna

fizza mere bachon se tum door nahi rehna

maa baap ke bin jeena mushkil hai bahot haye

allah kisi par bhi...

maa bhi na ho dunya...


is aalam e gurbat mein maa zinda agar hoti

bin baap ke bachon ko seene se laga leti

aaghaz e yateemi hai dil gham se na phat jaaye

allah kisi par bhi...

maa bhi na ho dunya...


bhooli hai kahan zainab wo choomna shaano ko

jab shaam mein dekhegi rassi ke nishano ko

yaad aayegi baba ki us waqt bahot haye

allah kisi par bhi...

maa bhi na ho dunya...


zeeshan o raza haye nauha tha ye fizza ka

ab betiyon ke sar pe saaya nahi baba ka

mushkil hai yateemon pe ye raat guzar jaaye

allah kisi par bhi...

maa bhi na ho dunya...