qayaam jal chuke abbas ab to aajao
ye kaali raat ye tanhaai kya kare zainab
sabhi chale gaye awaaz de kise zainab
ye chaahte ho aseer e bala rahe zainab
yahan se shaam talak nange sar phire zainab
khuda ke waaste mujhko kahin chupa jao
qayaam jal chuke...
andheri raat hai sab log sehme jaate hai
dikha ke naize shaqi bacchon ko darate hai
kabhi jo sharm se chehron ko hum chupate hai
to taziyane ye zaalim hamay lagate hai
layeen ghere hai bhaiya inhe hata jao
qayaam jal chuke...
hamara saath agar na-gawaar hai bhaiya
ye bebasi nigaah o dil pe baar hai bhaiya
taraayi se tumhe itna hi pyaar hai bhaiya
to laut jaana tumhe ikhtiyaar hai bhaiya
zara si dayr ko aa kar hamay bitha jao
qayaam jal chuke...
suno sakina bulaati hai tumko ro ro kar
bada bharosa tha bacchi ko apne ammu par
wo durre khaati rahi aur hui na tum ko khabar
layeen le gaye kaano se cheen kar gohar
wo tumse rooth gayi hai usay mana jao
qayaam jal chuke...
tumhari bewa wo baithi hai sar jhukaye huwe
rida to chin gayi baalon se moo chupaye huwe
jo aag dil mein lagi hai usay dabaye huwe
tumhare bacchon ko dil se magar lagaye huwe
yateem kaise palenge usay bata jao
qayaam jal chuke...
ajeeb gardish e dauran ajab zamana hai
ke berida shahe kaunain ka gharana hai
zaban khole to durre hai taziyana hai
sehar ko qaid hamay hoke shaam jaana hai
jo ho sake to hamay qaid se bacha jao
qayaam jal chuke...
layeen karte hai shahid safar ki tayyari
aur us taraf haram e sheh ke ashk thay jaari
zameen hilti thi larza falak pe tha taari
tadap ke kehti thi jab ek ghareeb dukhiyari
khareeb aagaye zaalim hamay bacha jao
qayaam jal chuke...