labbaik labbaik labbaika ya hussain
maula hussain hussain ya maula
karbobala mera rasta aur meri manzil syed badshah
hai sar pe alam ka saaya mera kaam nahi darna warna
saat samandar paar rahun ya apne des ke logon mein
gali gali aur nagar nagar gaon gaon har shehar shehar
har majlis mein har mimbar par elaan karunga subho shaam
ya zahra ya maula
ana majnoon al hussain
chaahe zamana bole mujhko deewana
saare jahan mein ya hussain leke tera naam
mai to kahunga sare aam mai hussain ka ghulam
maula hussain hussain...
aisa azeem tu ne karbala mein kaam kiya
sab kuch khuda ne ya hussain tere naam kiya
tu hi to hai wo badshaah ya hussain
jisko dunya ke saare baadshahon ne salaam kiya
jiska baba ho ali aur maa ho fatema
sab ko naseeb kahan hota hai aisa imam
mai to kahunga sare aam...
jaisa hussain tu hai badshaah masha allah
tujhko mile hai sab ghulam bhi subhan allah
mai aaj hurr ko alaihis salaam kyun na kahun
jis ne ashoor ki shab tere liye ya saarallah
maal o daulat ko choda haathon ko joda aur bola
ya hussain aap pe mera salaam
mai to kahunga sare aam...
saara zamana hai gawah ya hussain maula
tu ne bachaya la ilaaha ya hussain maula
hussaino minni wa ana minal hussain yani tu
ban gaya nabiyon ka shaah ya hussain maula
dil waalon ka hai naara hussain hamara
tere ghulam hi to bante hai aali maqam
mai to kahunga sare aam...
ana majnoon al hussain
ana majnoon al hussain
ya sayyidi ya murshadi hussain yabnaz zahra
jo hai ghulam tera us pe ho salaam mera
bhoola nahi hoon mai wo kufe ka darbar jahan
aakar jalal mein muslim bine aqeel bola
ibne marjana sunle rokega kaise
tu kya hai aaj chaahe aa jaaye faqeer e shaam
mai to kahunga sare aam...
maula abbas tum se fatema zehra hai raazi
tum ne wafaon ke maidan mein jeeti hai baazi
tum bhi to ho ali ke bete jab zaalim ne poocha
kyun ban ke rehte ho hussain ke ghulam ghazi
ghaiz mein aa kar wallah sher ye bola
ho ja khamosh de apni zaban ko lagaam
mai to kahunga sare aam...
hota rahega ya hussain ye aelaan e aza
chalta rahega na rukega karwan e aza
pabandiyan ho chahe jitni bhi in majlison par
nauhe sunayenge zeeshan aur irfan e aza
majlis bhi hogi maula matam bhi hoga
ishqe hussain mein taqayya hota hai haraam
mai to kahunga sare aam...
hussain imame manasto
manam ghulame hussain
mera syed tu meri jaan bhi tu
mera deen bhi tu emaan bhi tu
mere maula teri qasam karam mein
sab se aali shaan bhi tu
ye izzat bhi tera sadqa hai
ye shohrat bhi tera sadqa hai
jo kuch bhi mere paas hai maula
sab kuch tera sadqa hai
karta hoon mai ye waada ya abaabdillah
tera zakir hoon jab bhi saamne hogi awaam
mai to kahunga sare aam
mai hussain ka ghulam