Kanz e Aza

Mera Akbar Jawan

A noha for Ali Akbar (a.s), written by Shaukath Bilgrami (2026). Lyrics in Roman Urdu.

teri shadi ka armaan sughra ko tha

uske lab par hai shaam o sehar ye dua

mere bhai se mujhko mila de khuda

wo nahi jaanti hai ke naiza laga


raas aayi na karbobala

mera akbar jawan mar gaya


jab suna ran mein ghode se akbar gire

thokarein ran mein khaate huwe sheh chale

khaak aur khoon mein hai wo ghaltan pade

haal dekha pisar ka to kehne lage

raas aayi na karbobala...


dekhe zakhmi jigar ko shahe karbala

us mein barchi ka phal jo nazar aagaya

hai tasavvur mein nana rasool e khuda

jaise unki jawani ko naiza laga

raas aayi na karbobala...


haal sughra ka baba dikha dijiye

mujhko deedar-e-sughra kara dijiye

ayk bhai behan ko mila dijiye

mere zakhmi jigar ko chhupa dijiye

raas aayi na karbobala...


daali akbar ne suye madina nazar

ek zaeefa hai baba wo hai be-khabar

us pe teri judaai ka hai ye asar

wo zaeefa hai sughra teri muntazir

raas aayi na karbobala...


teri furqat mein ye haal e sughra hua

jhuk gayi hai kamar haath mein hai asa

sochti hai mera bhai kab aayega

jeete ji kya behen se wo mil payega

raas aayi na karbobala...


bole sheh kaise sughra sune ye khabar

muntazir raah mein hai bichaye nazar

ho gaya ran mein bhai ka zakhmi jigar

mar na jaaye kahin sunke noor e nazar

raas aayi na karbobala...


muntazir hai mere bhai saansein meri

dekh le aake dekhna ki tu bekasi

aisa lagta hai lamhon ki hai zindagi

phir na kehna ke sughra meri chal basi

raas aayi na karbobala...


sar pe sehra ho aana meri qabr par

apni dulhan ko laana meri qabr par

ek chadar chadhana meri qabr par

mera nauha sunana meri qabr par

raas aayi na karbobala...


padh ke tahreer roye shahe karbala

naama sughra ka ashkon se tar hogaya

bole qasid se jaa ke suna waqeya

teer asghar ko akbar ko naiza laga

raas aayi na karbobala...


rok le apna shaukat qalam rok le

ashk ban kar siyaahi ke khatre kahe

bibi sughra ke jo bain tu ne likhe

chashme insan se ashkon ke darya bahe

raas aayi na karbobala...