Kanz e Aza

Mere Akbar Ko Kahin

A noha for Ali Akbar (a.s), written by Salman Azmi (2022). Lyrics in Roman Urdu.

maqtal mein jab gira shah e deen ka jawan pisar

ghash kha ke gir pade shah e laulaak khaak par

sadma wo tha ke kuch unhe aata na tha nazar

manzar bata rahi hai riwayaat motbar

apne pisar ki laash pe shabbir gir gaye

shaana hila ke laash ka ye poochne lage

tere jaisa hi uska seena hai

mere akbar ko kahin dekha hai


kaise tujhko lagi hai ye barchi

kya khabar ye tere padar ko mili

mai to be maut mar gaya hota

mere akbar ko jo lagi hoti

jaane kyun dil mera tadapta hai

mere akbar ko kahin...

tere jaisa hi uska...


mujhko maloom hai wo zakhmi hai

fauj ye uske khoon ki pyasi hai

tere seene pe jo lahoo hai laga

us lahoo mein to khusboo uski hai

wo yaqeenan yahan se guzra hai

mere akbar ko kahin...

tere jaisa hi uska...


tu nahi usko jaanta hai agar

mujhko pura yaqeen hai is par

usko jo dekhe bhoolta hi nahi

is qadar wo haseen hai mera pisar

chaudvi chand jaisa chehra hai

mere akbar ko kahin...

tere jaisa hi uska...


maine usko kaha tha ay beta

mujhko mud mud ke dekhte jaana

haan magar is tarha gaya hai wo

phir palat kar kabhi nahi aaya

maine har simt usko dhoondha hai

mere akbar ko kahin...

tere jaisa hi uska...


jab wo zeen se zameen pe aaya hai

aakhri baar usko dekha hai

haye beenayi ja chuki meri

ab mera din mein haal aisa hai

mere charon taraf andhera hai

mere akbar ko kahin...

tere jaisa hi uska...


mai jo awaaz doo wo aayega

aa ke mujhko gale lagayega

par mai awaaz yun nahi deta

apne zakhmon ko wo chupayega

hai bahadur ali ka pota hai

mere akbar ko kahin...

tere jaisa hi uska...


aur ye soch kar bhi mai chup hoo

wo na dekhe jo ladkhada ke giroo

apni quwwat ko kar raha hoo jamaa

chal ke pairon pe mai wahan pahunchoo

mai jo tadpoo to wo tadapta hai

mere akbar ko kahin...

tere jaisa hi uska...


usne tujhko yahan nahi dekha

chod kar warna wo nahi jaata

tere zakhmon pe rakhta wo marham

tujhko pani mera pisar deta

haye lekin wo khud bhi pyasa hai

mere akbar ko kahin...

tere jaisa hi uska...


bola salman azmi wo jawan

mai hi akbar hoo mere baba jaan

na hi gehra hai itna zakhm e jigar

na hi sadma koi hai zakhm e sina

jitna sadma tumhara kehna hai

mere akbar ko kahin...

tere jaisa hi uska...