Kanz e Aza

Mar Gaya Baap

A noha for Imam Ali (a.s), written by Zeeshan Abidi. Lyrics in Roman Urdu.

ajeeb waqt hai ye fatema ke beton pe

janaza baba ka ghar se uthaye wo kaise

behan ko jan bhi chudate hai bad ke mayyat se

wobaar baar lipat'ti hai baap se jaa ke


mar gaya baap magar maanti nahi zainab

chudane se bhi kafan chodti nahi zainab


kabhi wo baba ke gaalon pe gaal rakhti hai

kabhi wo shaane hilaati hai maatha choomti hai

yateemi kya hai abhi jaanti nahi zainab

mar gaya baap magar...


khareeb aa ke kabhi chehra dekhte hai hussain

behan ki saanson ki awaaz sun rahe hai hussain

pidar se lipti hai kuch bolti nahi zainab

mar gaya baap magar...


ye pehla gham hai abhi rok le behan aansu

kaha hussain ne zainab ke choom kar baazu

ye tera kufe may gham aakhri nahi zainab

mar gaya baap magar...


giray jawan ke laashe pe jis tarha koi

giri thi baap ki mayyat pe us tarha beti

hassan uthaate rahe par uthi nahi zainab

mar gaya baap magar...


ye ro ke fizza se kehne lagay hussain o hassan

wo zakhm dekh rahi hai hata hata ke kafan

shikasta baap ka sar bhoolti nahi zainab

mar gaya baap magar...


nishani baba ki seene se jab lagayegi

usay amaame se baba ki khusboo aayegi

lahoo laga hai magar pochti nahi zainab

mar gaya baap magar...


madad ko aaye baqaya se fatema zehra

wo dekh dekh ke roti hai baap ke chehra

abhi kisi ki taraf dekhti nahi zainab

mar gaya baap magar...


tumhari aas pe jee legi ab behan abbas

khareeb aa ke chuda do tum hi kafan abbas

tumhara kehna kabhi taalti nahi zainab

mar gaya baap magar...


khareeb aaye jo ghazi behan ne choda kafan

to bolay ghazi se zeeshan aur raza ye hassan

tumhara chehra agar dekhti nahi zainab

chudane se bhi kafan chodti nahi zainab

mar gaya baap magar...