Kanz e Aza

Moosa Kazim ka

A noha for Imam Moosa e Kazim (a.s), written by Zeeshan Abidi (2026). Lyrics in Roman Urdu.

haye imam kazim imam

haye imam qaidi imam


baghdad ka qaidi pardesi maula o mera qaidi maula


qaid khana musa e kazim ka maqtal ban gaya

baap ki mayyat uthaane aaiye maula raza


ho salaam us par jise zindan mein maut aa gayi

haath ki zanjeer haye gosht jiska kha gayi

beh raha hai jis ke zakhmon se lahoo wa ghurbata

qaid khana musae kazim...


qaid bhi aisi jahan seedhi na ho paaye kamar

kyun na wo aansu bahaate haalat e sajjad par

haye yaad aata tha jab bhi tauq aur zakhmi gala

qaid khana musae kazim...


jaa ke ye masooma e qum ko koi dede khabar

ab nahi aayenge baba phir madine laut kar

aaj se baba ka apne dekhna mat raasta

qaid khana musae kazim...


betiyon se haye jo mil na saka chauda baras

dekhta rehta tha yasrab ki taraf wo baap bas

betiyon ko yaad karke qaid mein rota raha

qaid khana musae kazim...


ghurbate aale mohamed par karo matam bapa

qaid khane se uthega ye janaza doosra

wo jo khaati thi tamache us sakina ki tarha

qaid khana musae kazim...


zeher se maara gaya hai phir se zehra ka pisar

haath pehlu par rakhe aayi hai turbat chod kar

baithi mayyat ke sirhane ro rahi hai fatema

qaid khana musae kazim...


aaj matam hai bapa us be-watan ki yaad mein

haye jo sab se zyada zakhmi tha baghdad mein

is liye farhan roya hai qalam zeeshan ka

qaid khana musae kazim...