shaahe dee'n par sitam hai wawaila
ibne jaffer ka gham hai wawaila
haye kazim ko qaid me rakh kar
diya haroo'n ne sam hai wawaila
ki qaza bekasi me hazrat ne
roohe sadiq ko gham hai wawaila
laash zindaan se uthi sheh ki
kya ye zulmo sitam hai wawaila
haaye begoro bekafan pul par
laashe shahe umam hai wawaila
hashr hai kazmi kazmain me barpa
sab mohibbo ko gham hai wawaila
bepidar hogaye raza haye haye
chashm ashkou se nam hai wawaila