Shaakh Se Ek Phool Tutha Tukdhe Tukdhe Hogaya
Dasht Me Qasim Ka Laasha Tukhde Tukhde Hogaya
1.Is Jahan Me Jis Ke Dum Jee Rahi Thi Bewa Maa
Wo Zayifi Ka Sahara Tukhde Tukhde Hogaya
2.Karbala Me Laasha-e-Qasim Ke Tukhde Dekh Kar
Maa Ka Dil Bhi Aisa Tutha Tukhde Tukhde Hogaya
3.Gulbadan Ku Haye Itne Zakhm Khane Ku Mile
Teen Din Ka Bhuka Pyasa Tukhde Tukhde Hogaya
4.Karbala Me Zalimou Ne Chakh Kardale Waraq
Bolte Quran Ka Surah Tukhde Tukhde Hogaya
5.Aj Bhi Ro Ro Ke Kehte Hai Yeh Mehandi Ke Juloos
Hazrat-e-Qasim Ka Sehra Tukhde Tukhde Hogaya
6.Haaye Aada Jism Par Ghudhou Ku Dhoudhate Rahe
Bewa Maa Ka Laal Zinda Tukhde Tukhde Hogaya
7.Fidwi Itne Tukhdou Me Qasim Ka Laasha Dekh Kar
Umme Farwa Ka Kaleja Tukhde Tukhde Hogaya