jab shimr maarta tha tamacha hussain ko
aati thi yaad bali sakina hussain ko
naize ki nok maar ke phasli mein baar baar
jalti zameen pe zeen se giraya hussain ko
jab shimr maarta tha...
patthar kisi ne maare to phaynki kisi ne khaak
ran mein kisi ne baalon se khayncha hussain ko
jab shimr maarta tha...
khanjar chala raha hai wo seene pa baith kar
bachi na aake dekh le baba hussain ko
jab shimr maarta tha...
ek maa ne baal khole hai bilkul usi jagah
jis jaa pe shamiyon ne giraya hussain ko
jab shimr maarta tha...
sattar qadam se dekh ke khanjar kabhi gala
zainab ne tera baar pukara hussain ko
jab shimr maarta tha...
zibha ke waqt dete hai pani zabeeh ko
maqtal mein qatl kar diya pyasa hussain ko
jab shimr maarta tha...
khanjar to sirf pyase ki gardan pe chal gaya
abbas teri maut ne maara hussain ko
jab shimr maarta tha...
zeeshan phasliyan thi shikasta ba-waqte dafn
abid ne kis tarha se uthaya hussain ko
jab shimr maarta tha...