maqtal mein ro ke kehti thi zehra mere hussain
aa godh mein aaja mere hussain
abbas mar gaya tera akbar nahi raha
godhi mein jisko paala tha asgahr nahi raha
sab mar chuke hai roti hai zehra mere hussain
maqtal mein ro ke kehti thi...
tukde badan ke bikhre huwe dekhti rahi
qasim ke tukde tu ne chune dekhti rahi
ro kar uthaya tu ne jo laasha mere hussain
maqtal mein ro ke kehti thi...
zainab ne apni nasl be-jaan kar diya
bhai pa apne bachon ko qurban kar diya
laasahon ke darmiyan kiya sajda mere hussain
maqtal mein ro ke kehti thi...
akbar ka tu ne kaise janaza utha liya
tooti kamar thi phir bhi wo laasha utha liya
manzar wo kaise laila ne dekha mere hussain
maqtal mein ro ke kehti thi...
lilaah na kar tu zibha ye mera hussain hai
ay shimr teen roz ka pyasa hussain hai
sar peet ke ye kehti hai zehra mere hussain
maqtal mein ro ke kehti thi...
haan ab katega tera gala maa ke saamne
sar hoga tera tan se juda maa ke saamne
royegi dil ko thaam ke zehra mere hussain
maqtal mein ro ke kehti thi...
tu ne gala kata diya islam ke liye
di jaan apni deen ke paigham ke liye
khaaliq ka naam kar diya ooncha mere hussain
maqtal mein ro ke kehti thi...
kat'ta tha sar hussain ka roti thi bebasi
ay hashmi hussain ki maa dekhti rahi
manzar ye kisi maa ne na dekha mere hussain
maqtal mein ro ke kehti thi...