marhaba marhaba marhaba ay hussain
jis ne sar teri chaukat pe kham kar diya
bandagi ka saleeqa usay aa gaya
al-amaan zere khanjar wo sajda tera
ro ke ahmed ne jannat se di ye sada
marhaba marhaba...
jo tere naqshe paa par hua gaamzan
usko ho kya bhala khaufe daar o rasan
wo sikhaya hai marne ka tu ne chalan
de diya maut ko zeest ka baankpan
marhaba marhaba...
kyun farishton ne adam ko sajda kiya
roze ashoor aalam pe roshan hua
kund khanjar talay rakh ke sookha gala
tu ne insaniyat ka bharam rakh liya
marhaba marhaba...
zindagi ko supurde khaak kar diya
jo fana thi usi ko baqa kar diya
is tarha haq se waada wafa kar diya
har khushi ko raza e khuda kar diya
marhaba marhaba...
bik raha tha sar e aam jab aadmi
haq o baatil ki pehchan thi mit gayi
de ke qurbani tu ne jawan laal ki
baksh di deen ko ek nayi zindagi
marhaba marhaba...
jis tarha se hai zaat e khuda ko dawaam
jaise baakhi jahan mein hai uska kalaam
roze ashoor tu kar gaya hai wo kaam
mit sakega na ta hashr tera bhi naam
marhaba marhaba...
phir raha hai nigahon mein manzar abhi
laashe kadiyal jawan aalam jaan ki
teri himmat pe qurban ibne ali
qalbe akbar se tu ne sina khaynch li
marhaba marhaba...