yaad jo baysheer ki aati rahi
raat bhar maa dil ko behlati rahi
tashna kaamo ki jo yaad aati rahi
alqama reh reh ke balkhati rahi
raat bhar maa…
leke aate hai chacha pani abhi
ye sakina sab ko samjhati rahi
raat bhar maa…
bole sheh awaaz do akbar mujhe
roshni aankhon ki ab jaati rahi
raat bhar maa…
ro ke laila ne kaha akbar ke saath
dil ki har ek aarzoo jaati rahi
raat bhar maa…
muddaton bano ke kaano mein sada
asghare baysheer ki aati rahi
raat bhar maa…
suye koofa khaafila badta raha
aur sakina ghurkiya khaati rahi
raat bhar maa…
raat bhar akbar to soye chain se
maa sarhane ashk barsaati rahi
raat bhar maa…
sheh ka gham jab se mujahid ko mila
har gham o fiqr e jahan jaati rahi
raat bhar maa…