marhaba sayyede abrar hussain ibne ali
pisare fatema zehra hai hussain ibne ali
aaye thay deen mohamed ka bachane ke liye
raasta haq se sadaqat ka dikhane ke liye
wo diya sheh ne jalaya jo zamane ke liye
bangaye masla e anwaar hussain ibne ali
marhaba sayyede abrar...
gulshane deen ko kiya apne lahoo se sairaab
aap ne kufr ke chehre se hataya hai naqaab
marne jeene ke zamane ko sikhaaye aadaab
kar gaye deen ko bedaar hussain ibne ali
marhaba sayyede abrar...
deen par nana ke ek harf bhi aane na diya
tha jo baatil ka andhera usay chaane na diya
aur shariyat ke usoolon ko mitane na diya
aap hai suboh ke aasaar hussain ibne ali
marhaba sayyede abrar...
zikre shabbir to talwar hai marhab ke liye
aap to shamme hidayat hai yahan sab ke liye
gham ye maqsoos nahi hai kisi mazhab ke liye
sab tumhare hai azadaar hussain ibne ali
marhaba sayyede abrar...
ek qaima bhi na jalne se bacha tere baad
tere paimaane wafa poora hua tere baad
khaafila leke aseeron ka chala tere baad
wo tera abid e beemaar hussain ibne ali
marhaba sayyede abrar...
aakhri sajda hussain ibne ali ka hai urooj
sar juda hogaya dunya ka ho baala hai urooj
sar ko naize pe layeeno ne chadaya hai urooj
yun huwe haq ke tarafdaar hussain ibne ali
marhaba sayyede abrar...