matam kya hai dunya waalon zulm se nafrat ka aelaan
majlis kya hai sheh se mohabbat aur aqeedat ka aelaan
haq kya hai aur baatil kya hai kufr hai kya islam hai kya
karbobala mein sheh ne kiya hai sab ki haqeeqat ka aelaan
matam kya hai...
boj gunahon ka bhi bada to fikr nahi ha roz e jaza
ashke ghame sheh pe karenge apni shafa'at ka aelaan
matam kya hai...
kufr ki koshish hai ye musalsal zikre shahe deen mit jaaye
zikre shahe deen mit nahi sakta hai ye mashiyat ka aelaan
matam kya hai...
cheen liya abbas ne darya phir bhi labon ko tar na kiya
tashna labi ke saath kiya hai apni shuja'at ka aelaan
matam kya hai...
nargha e aada mein bhi hua ek hashr bapa kohraam macha
asghar ke honton pe tabassum aakh e qayamat ka aelaan
matam kya hai...
chup na sakega khoon e shaheedan taaba qayamat zainab ne
shaam ke bazaaron mein kiya is tarha shahadat ka aelaan
matam kya hai...
maqtal mein jab sheh ne pukara hai koi meri nusrat ko
gir gaye jhoole se asghar ye sun ke imamamt ka aelaan
matam kya hai...
karbobala waalon ki kahani hum ko bataati hai urooj
sibte nabi ne phir se kiya hai deen o shariyat ka aelaan
matam kya hai...