matame sibte payambar ki nishani ho kar
khoone dil aankh se behna laga pani ho kar
matame sibte payambar…
umme laila ke liye gham ki nishani ho kar
maut aayi ali akbar ki jawani ho kar
matame sibte payambar…
misle sailaab bada deen e khuda khandaq se
zulfeqar e asadullah ka pani hokar
matame sibte payambar…
sabr e shabbir ne ran mein wo dikhaye jauhar
reh gaya khissa e ayub kahani ho kar
matame sibte payambar…
log akbar ka madine mein adab karne lage
yun shabab aaya mohamed ki jawani ho kar
matame sibte payambar…
zindagi baksh di sar de ke shahe waala ne
warna reh jaata ye islam kahani ho kar
matame sibte payambar…