Kanz e Aza

Matami Hoo Lab Pe

A noha written by Abid Zaidi. Lyrics in Roman Urdu.

matami hoo lab pe mere ya hussain aa jayega

qabr mein ek pal lagega mujhko chain aa jayega


mai to bas nauha padunga aur karunga kya bhala

ek qaidi karbala se karne bain aa jayega

matami hoo lab pe mere...


roze mehshar hoonga jab mai apne rab ke roo ba roo

bakshwane fatema ka noor e ain aa jayega

matami hoo lab pe mere...


zehn mein rach bas gayi hai roz e ashoora ki soch

saath sau chauke wahan ka shor o shain aa jayega

matami hoo lab pe mere...


rooh to tanha na pahunchegi dar e mazloom par

jism bhi to saath bainul qiblatain aa jayega

matami hoo lab pe mere...


dhalte dhalte dhal hi jayega wo din ashoor ka

zer e khanjar do jahan ki zeb o zain aa jayega

matami hoo lab pe mere...


raaste mein lehad se karbobala jaate huwe

saamara kufa najaf aur kaazmain aa jayega

matami hoo lab pe mere...


jab jahan mushkil padi abid madad ke waaste

wohi ibne faatahe badr o hunain aa jayega

matami hoo lab pe mere...