Kanz e Aza

Maula Abbas

A noha for Moula Abbas (a.s), written by Mazhar Abidi. Lyrics in Roman Urdu.

hai saaya fighan do aalam par

saqqaye sakina tera alam

tu shere khuda ka saani hai

rakha hai wafa ka tune bharam

hai saath alam har gaam tera

hai ukta kushaai kaam tera

hai zikre wafa inaam tera

abbas e ali hai naam tera

abbas abbas abbas


jispe karam hai tera

hai usay raazi khuda

maula abbas maula abbas


babul hawaij tera laqab hai

zinda wafa bhi tere sabab hai

tere alam ka faiz hai jaari

sunta hai tu faryaad hamari

hai jo lahoo mein wafa

ye bhi hai teri ata

maula abbas...

jispe karam hai...


tera alam har gham ki dawa hai

teri taraf har daste dua hai

tere waseele par jo yaqeen hai

ki dua radd hoti nahi hai

rab se kahun bhi to kya

jo maanga tune diya

maula abbas...

jispe karam hai...


maine zamane ko ye bataya

hai ye saqi rab ka humsaaya

saare jahaan ko paalne wala

rab ke khazane ka rakhwala

bin maange sunle dua

aisa saqi hai mera

maula abbas...

jispe karam hai...


ay mere ghazi hum hai sawaali

bhar de hamari jholiyan khaali

teri kaneezon ne hai pukara

de de ali asghar ka sadqa

tere to dar se kabhi

khaali na koi gaya

maula abbas...

jispe karam hai...


tera karam be-dast hai aisa

kaun bhala tang dast rahega

kasaye jo har waqt utha kar

dar pe khade hai tere gadagar

maula ali ki tarha

hai tu bhi mushkil kusha

maula abbas...

jispe karam hai...


hum hai faqeer aur tu hai shahensha

hum hai mareez aur tu hai maseeha

saath jo tera pyar ho maula

koi kahan bemaar ho maula

tera karam wo dawa

taale jo sar se khaza

maula abbas...

jispe karam hai...


tere masayab bhoole kahan hum

aati hai jab bhi aat moharram

rote hai parcham tera saja kar

bachon ko apne saqqa bana kar

karte hai matam bapa

ye keh ke ahle aza

maula abbas...

jispe karam hai...


kaisa tha dard bhara wo manzar

sheh ne kaha zainab se ye rokar

dekho zara ye halqa e matam

tishna dahan aur ghazi ka parcham

karte hai pyase sabhi

ye keh ke matam bapa

maula abbas...

jispe karam hai...


tere ghulam irfan aur mazhar

teri wafa se dil hai munawar

ek amanat tera alam hai

hum par jab ye daste karam hai

jaari rahega sada

ye kaarwan e aza

maula abbas...

jispe karam hai...