khaafile hai rawan jaa baja mai phir se tanha reh gaya
nikaal koi raasta maula
maula tadap raha hoon dar dar bhatak raha hoon
faryad kar raha hoon
maula karbala bulaale rauza dikha de maula
din raat aisi koi nahi jo tujhko nahi pukara
majlis mein ja ke aansu baha ke har saal hai guzara
ye saal bhi hai beeta phir intezaar jeeta
aaya nahi bulawa
maula karbala bulaale...
ye bhi dua hai jab bhi bulana aisa sabab banana
maa baap mere aulaad meri aaye mera gharana
mere paas kuch nahi hai na zar hai na zameen hai
tujhpe hi bas yaqeen hai
maula karbala bulaale...
hoon beqaraar kitna hai pyaar ek baar aazma le
jitni thakan ho sookha dahan ho ya paaon mein ho chaale
paidal safar karunga sab sakhtiyan sahunga
nauha tera padhunga
maula karbala bulaale...
karbobala mein zawwaron ka mai khadim bana rahunga
muaqqib mein jaa ke khaana khila ke saqqayi bhi karunga
palkein bichaunga mai sab ko bulaunga mai
paaon dabaunga mai
maula karbala bulaale...
ghazi ke dar pe de ke salami aaunga tere dar par
do badshahon ki saltanat mein jannat ka hoga manzar
aise haseen lamhe qismat mein meri likh de
ay baadshah bula le
maula karbala bulaale...
tere haram ki jaali pakad ke lipta rahunga aise
muddat ke baad masoom bacha lipta ho maa se jaise
sajde karunga maula ro ro ke doonga pursa
armaan kar de poora
maula karbala bulaale...
dekhunga nehre alqama matam karunga pyaas ka
zeen se gira tha tu jahan maqam e saahib uz zamaan
ja kar kaf e abbas par matam karo sar peet kar
khaayi jahan pe thi sina maqam e akbar hai wahan
maqam e asghar pe jaaunga jhoole pe mannat badhaunga
wo qaimagaah e bekasan karunga majlis mai wahan
bhulaun kaise tu bata wo ek teela rayt ka
sattar qadam ka faasla jahan hai teri qatl gaah
wahan se dekha tha behen ne chala tha khanjar shimr ka
farhan o mazhar hai dua maula sar e karbobala
de qabr ki hum ko jagah
ya maula karbala bula le rauza dikha de maula