Kanz e Aza

Maula Naqi (a.s) K Jashan ki Mehfil Saji Hai Aaj

A noha for Ali un Naqi (a.s). Lyrics in Roman Urdu.

Har Su Fiza Ye Dekhiye Mahki Hui Hai Aaj


Maula Naqi (a.s) K Jashan Ki Mahfil Saji Hai Aaj


Huro Malak Bhi Khuld Se Aaye Hain Dosto

Ghar Main Taqi Kay Amad e Moula Naqi Hai Aaj


Rehmat Baras Rahi Hai Khuda Ki Jahan Main

Sallay Ala Kay Nagmay Hawa Gah Rahi Hai Aaj


Aale Nabi He Hain Faqat Wo Noor e Kibriya

Inkay Siwa Jahan Main Kahin Roshni Hai Aaj


Ham Gham Manayen Ya Khushi Hairat Ki Baath Hain

Kyun Aag Munkiron K dilon Main Lagi Hai Aaj


Aaly Nabi Se Dushmani Rakhe Jo Dil Main Bhugz

Ussay Bara Jahan Mai Koi Lanati Hai Aaj


Sajday Main Sir Hussain (a.s) Ka Gardan Pah Taigh Hai

Asi Namaz Phir Kahin Dekhi Gai Hai Aaj


Zehra (s.a) Tumaray Bachon Ka Mujh Pay Hai Ye Karam

Kitni Mujeh Zamanay main Izzat Mili Hai Aaj


Kami Bari Zeya Koi Aai Hai Ye Pasand

Jo Manqabat Imam Ki Tu Ne Likhi Hai Aaj