Kanz e Aza

samere me ghul hai bapa haaye haaye

A noha for Ali un Naqi (a.s). Lyrics in Roman Urdu.

samere me ghul hai bapa haaye haaye

hoti hai bekas pe jafa haaye haaye

ghar se talab kar ke naqi aapko

zulm se bejaan kiya haaye haaye


khote hai jaa'n baap ke gham me yateem

ranj hai bachhou nko bada haaaye haaye

lut gaya ghar margaya waris mera

hai yehi bewa ki buka haaye haaye


ummate jad ke liye daswe imam

seh gaye kya zulmo jafa haaye haaye

gham me pidar ke hassane askari

karte hai faryad o buka haaye haaye