Kanz e Aza

Saqqa e Haram Rakhlena Bharam

A noha for Moula Abbas (a.s) (2019). Lyrics in Roman Urdu.

Ya baabe hawaij ya mola x2


Saqqa e haram rakhle na bharam hum dar pe tumhare aaye hay

Tum bhi nahi hum ko tukhrana x2 hum duniya ke tukhraye hay


Ab saare sahare toot chuke hume apne paraye loot chuke x2

Tum apni panaho mei lelo hum ran se bhot ghabraye hay


Mola tum baabe hawaij ho roze pe unhe bhi bulwalo x2

Ghurbat ke sabab jo aa na sake ham unke areeze laaye hay


Ab qabr se paani lipta hay saqqa e Sakina pyasa hay x2

Ab hashr talak dariya saare dene ko salaami aaye hay


Ik jaanib roza tumhara hay shabir ka roza ek taraf x2

Bainul haraman aakar humne daman apne phelaaye hay


Kya ap pe aaka guzri thi kuch kahiye musibat apni bhi x2

Bin haatho ke kaise lehra kar ghore se zameen par aaye hay


Zahra ke laal ka pyasa galla gardan ki pusht se katta gaya x2

Khanjar ki har ik zarbat par yeh arz o samaa tharraye hay


Ek qabr hay Shaam ke zindaan mei ek mashq abhi tak khaali hay x2

Hum pyasi Sakina ki khatir aankho mei aansu laaye hay


Darbaar sakhi Abbas ka tha kuch maangna tha laazim maanga x2

Lekin yeh haqiqat bhi hai Qamar ham pursa dene aaye hay


Saqqae haram…