saqqa e haram sad wawaila
hai wawaila sad wawaila
hai umme bani'n ka noor e nazar
hashim ka qamar hyder ka pisar
apne hi lahu me dooba huwa
hai ahle haram me shor o buka
bazu bhi kate mashkeeza chhida
parcham ko magar jhukne na diya
tooti jo kamar sarwar ne kaha
hai ahle haram me shor o buka
le aaye shah-e-dee'n mashk o alam
karte huwe bhai ka matam
behna se kaha bhai na raha
hai ahle haram me shor o buka
sar peet ke kehti hai khwahar
ab koun bachayega chadar
chhinenge layee'n be khouf rida
hai ahle haram me shor o buka
lipta ke sakina ko sarwar
dete hain dilaasa roro kar
bibi na raha ab tera chacha
hai ahle haram me shor o buka
sehra-e-atash wo jalti zameen
lasha hai kahi'n bazu hai kahi'n
quraan e wafa hai bikhra huwa
hai ahle haram me shor o buka
hai sab ki duwa ba deedaye nam
ab anjuman e saqqa e haram
rouze pe sunae ye nouha hai
ahle haram me shor o buka
pyasou'n ki umeede'n tod gaya
shabbir ko tanha chhord gaya
haye binte ali ki dharas tha
hai ahle haram me shor o buka
sarwar pa qayamat ki hai ghadi
duniya se gaye abbas e ali
ran me hai fasih ek hashr bapa
hai ahle haram me shor o buka