Kanz e Aza

Tere Sadqay Main Zahra Ho Raha hai

A manqabat written by Mir Hassan Mir (2019). Lyrics in Roman Urdu.

Tere Sadqay Main Zahra Ho Raha hai

Khuda Ko Jo Bhi Sajda Ho Raha hai


●Teri Chadar Kay Saye Main Aey Bibi

Khuda Walo Ka Jalsa Ho Raha hai


●Musalmano Phiray Tum Fatima Say

Tumharay Sath Acha Ho Raha hai


●Tujhay Abbas Ki Maa Keh Raha Hun

Talab Mujhsay Hawala Ho Raha hai


●Ali Walay Jina Main Ja Rahai Hain

Jo Waada Tha Woh Pura Ho Raha hai


●Kisi Mukhtar Ko Bhaijain Aey Bibi

Hamara Shehar Kufa Ho Raha hai


●Imam Asr Ajayain Khudara

Ali Walo Main Jhagra Ho Raha hai


●Aey Mufti Rok Lai Salman Ko Ja

Dar e Zehra Pay Sajda Ho Raha hai


●Tairi Chaki Kay Chakar Main Aey Bibi

Jahan Ka Rizq Pura Ho Raha hai


●Ba Faiz e Fatima Zehra Takallum

Tairay Shero'n Ka Charcha Ho Raha hai