Kanz e Aza

Utri hain aaj fatima zehra zameen par

A manqabat written by Mir Hassan Mir (2021). Lyrics in Roman Urdu.

Ya Zahra Ya Zahra Ya Zahra Ya Zahra

Utri Hai Aj Fatima Zehra Zameen Per

Kaisay Rahai Dimagh Zami'n Ka Zameen Per

Jibreel Kis Se Poch Ke Layega Ayatain


Zahra Yahin Hain Tu Bhi Thehar Jaa Zameen Per

Khud Ake Degi Mout Suna Ran Ko Zindagi

Han Zahra Bicha Rahi Hai Musalla Zameen Per

Wo Jaa Rahi Hai Arsh Pe Zahra Ki Rotiyan


Wo Aa Raha Hai Dehar Ka Surah Zameen Per

Zahra Ne Khud Dua Ko Uthaye Hain Apne Hath

Haan Abbas Tum Ko Ana Parega Zameen Per

Haan Jannat Se Karbala Ka Pata Puchti Hui


Adam Ke Sath Ai Hai Hawa Zameen Per

Bekar Hai Yeh Isko Jahannum Mai Bhej Do

Aray Ik Bhoj Hai Yeh Dushman e Zehra Zameen Per

Hota Hai Asmaan Pe Tilawat Mai Wo Shumar


Parhiye Jo Syeda Ka Qasida Zameen Per

Taqseem Karti Fatima Zahra Ager Fidak

Baqi Na Rehta Koi Bhi Bhuka Zameen Per

Yeh Bhi To Mustafa Hai Taqallum Isi Liye


Milta Nahi Batool Ka Saaya Zameen Per