saqqa e ahlebayt e alamdar hai kahan
ahle haram ka khafila saalar hai kahan
deene rasool e haq ka madadgaar hai kahan
karbobala ka haider e karrar hai kahan
saqqa e ahlebayt…
hamsheer se ye kehte hai mazloom e karbala
ghurbat mein bekaso ka sahara nahi raha
zainab hamara monis o ghamkhar hai kahan
saqqa e ahlebayt…
pyasi sakina kehti hai rokar ye baar baar
shiddat ki tishnagi se mera dil hai beqarar
baba mera chacha mera ghamkhar hai kahan
saqqa e ahlebayt…
mashke sakina chid gayi shaane qalam huwe
farzande bu turab pe kya kya sitam huwe
zainab pukari haye wafadaar hai kahan
saqqa e ahlebayt…
qasim nahi raha ali akbar nahi raha
shesh maah bezuban ali asghar nahi raha
tanha hai ab hussain alamdar hai kahan
saqqa e ahlebayt…
laaye jo ran se mashk o alam shaahe karbala
fizza har ek qaime mein deti thi ye sada
ay bibiyon hussain ka ghamkhar hai kahan
saqqa e ahlebayt…
charon taraf se teer thay saabir hussain par
har zulm ho raha tha shahe mashraqain par
lab par yehi sada thi alamdar hai kahan
saqqa e ahlebayt…