abbas abbas ya abal fazlil abbas
saqqa e haram raklena bharam
hum dar pe tumhare aaye hai
tum bhi nahi hum ko thukrana
hum dunya ke thukraye hai
saqqa e haram...
abbas abbas ya...
ab saare sahare toot chuke
hamay apne paraye loot chuke
tum apni panahon mein le lo
hum gham se bohat ghabraye hai
saqqa e haram...
abbas abbas ya...
ashkon ki zaban pehchante ho
jo dil mein hai wo bhi jaante ho
hum keh nahi sakte tum sun lo
bas haathon ko phailaye hai
saqqa e haram...
abbas abbas ya...
har sooni godhi bhar jaaye
har beti ko rishta mil jaaye
un chehron ko raunak de do
jo ban ke sabab murjhaye hai
saqqa e haram...
abbas abbas ya...
maula tum baabe hawaij ho
rauze pe unhe bhi bulwalo
ghurbat ke sabab jo aa na sake
hum unke areeze laaye hai
saqqa e haram...
abbas abbas ya...
jo naam tumhara leta hai
allah bhi usko deta hai
khairaat bureeda shaano ki
lene ke liye hum aaye hai
saqqa e haram...
abbas abbas ya...
hote hai kitne zulm shadeed
aur ahle aza hote shaheed
jo khatm yazeedon ko kar de
wo taaqat maangne aaye hai
saqqa e haram...
abbas abbas ya...
maula hai aap se ek sawaal
allah hamay de rizq e halaal
ho lashkar mehdi mein shaamil
jitne bhi zaayir aaye hai
saqqa e haram...
abbas abbas ya...
khaa khaa ke tamache roti hai
zindan ki khaak pe soti hai
bujh jaaye pyaas sakina ki
hum aankh mein aansu laaye hai
saqqa e haram...
abbas abbas ya...
darbar saqi abbas ka tha
kuch maangna tha laazim maanga
lekin ye haqeeqat bhi hai qamar
hum pursa dene aaye hai
saqqa e haram...
abbas abbas ya...