abbas abbas abbas abbas
saqqa e sakina abbas abbas
do mujhko sahara abbas abbas
tehri hui nazrein hai meri tere alam par
shak mujhko nahi koi tere lutf o karam par
tu baab e hawaij hai nazar rakhta hai hum par
mushkil se bachana abbas abbas
saqqa e sakina...
bin haathon ke tum jholiyan bhar dete ho maula
ehsaan karo mujhpe mai banda hoo tumhara
muflis hoo bahot karbobala aa nahi sakta
kya tum se chupana abbas abbas
saqqa e sakina...
sab ranj o alam maine zamane se chupaye
aaya hoo tere saamne haathon ko uthaye
moo mod gaye mujhse sabhi apne paraye
dil zakhmi hai mera abbas abbas
saqqa e sakina...
dunya ki musibat ne mujhe ghayr liya hai
aaqa tera khadim ye pareshan hua hai
tum mujhko bacha loge mujhe ye bhi pata hai
bas dayr na karna abbas abbas
saqqa e sakina...
abbas habeeb ibne mazahir se ye kehna
zawwaron ki fehrist mein ab naam ho mera
samaan e safar bhi mera tayyar hai maula
tum mujhko bulana abbas abbas
saqqa e sakina...
zehra ki qasam hai meri uljhan ko mita do
ek phool alam se mere daaman mein gira do
himmat mujhe mil jaaye ishare se bata do
tum saath ho maula abbas abbas
saqqa e sakina...
tu bhai hai shabbir ka hyder ka hai beta
dunya mein nahi itna sakhi koi gharana
teri hi sakhawat ka zamane mein hai charcha
tu dar hai ataa ka abbas abbas
saqqa e sakina...
sar pe nahi jin logon ke maa baap ka saaya
un sab ke nigehban tum hi ho mere maula
maadar ka hi aanchal hai ye parcham ka pharehra
karte raho saaya abbas abbas
saqqa e sakina...
dete hai sakina ki qasam is liye maula
hai mesum o azlan ka maula ye aqeeda
tum radh nahi kar sakte kabhi bhi ye waseela
hai poora bharosa abbas abbas
saqqa e sakina...