goonji faryaad jibreel ki
haye maula ali un naqi
kaaba e haq hua muzmail
zehre qaatil se paara hai dil
gham ki har soo ghata cha gayi
haye maula ali un naqi...
ambiya aur malak ro pade
nauha padte hai chote bade
har taraf aaj hai bekali
haye maula ali un naqi...
qudsiyon ka bada hai hujoom
arsh se aaye shams o nujoom
khoon mein ghark hai chandni
haye maula ali un naqi...
shaksiyat aisi ruqsat hui
aaj uski shahadat hui
jiski thokar mein hai zindagi
haye maula ali un naqi...
toor ke noor ka aasman
khoon mein doob kar hai niha
aur zulmat bhi karne lagi
haye maula ali un naqi...
tujhko motaz bata kya mila
zehr maula ko kyun de diya
humse kyun cheenli har khushi
haye maula ali un naqi...
sab pe hamid aza farz hai
sab pe maula ka gham karz hai
bolo ashfaq ro kar yehi
haye maula ali un naqi...