dunya se safar jaanib e uqba hai naqi ka
ghamgheen har ek chaahne wala hai naqi ka
pardes mein maut aayi hai zehra ke pisar ko
shabbir ka gham sogh manata hai naqi ka
dunya se safar...
abbas alamdar madad karne ko aao
dam aalame ghurbat mein nikalta hai naqi ka
dunya se safar...
neela hai badan zehr e halahal se sad afsos
reh reh ke dehn khoon ughalta hai naqi ka
dunya se safar...
yun saamra aa jaye na yasrab se payambar
ghurbat mein musibat mein sarapa hai naqi ka
dunya se safar...
saare hi imam aah tadapte hai basad gham
tanhaai ka aalam hai janaza hai naqi ka
dunya se safar...
marqad mein nahi chain taqi ko koi lamha
chain aaye bhi kyun haal hi aisa hai naqi ka
dunya se safar...
aulaad ka gham maa se zyada kise hoga
zehra se koi pooche to gham kya hai naqi ka
dunya se safar...
is tarha azeem aap ne likhi hai ye rudaad
alfaaz bhi kehte hai ye nauha hai naqi ka
dunya se safar...