Kanz e Aza

Dunya Walo Shabir Kay Matam Pe Pabandi Kyun Lagaty Ho

A noha. Lyrics in Roman Urdu.

Zahra K Pak Gharany Ko, Maqtal Me Jinho Ne Mar Diya,

Tum Un K Hi Kuch Lagty Ho, Such Bat Ko Yad Karaty Ho.


Zainab Ne Bary Dukh Jhely Hen Darbaron Me Bazaron Me,

Sang Barsaty Thy Sub Shami In Be Chadar Mastooron Pe,

Mola K Julooson Me Phir Tum Ye Rasem Wohi Dohraty Ho


Jo Log Ali K Dushman Thy, Diya Hassan Ko Sum Un Logon Ny,

Shabir Pe Khanjar Chala Kr Phir, Olad E Ali Ko Qaid Kiya,

Tum Pairokar Unhi K Ho, Khud Apna Roop Dikhaty Ho


Abbas Chaly Jab Pani Ko, Zainab Sar Peet K Rony Lagi,

Mere Sar Pe Jo Maa Ki Chadar He, Jb Shaami Aakr Looten Gy,

Hum Zinda Rahen K Mar Jayen, Hume Tum Jo Chor K Jaty Ho


Abbas Ko Pahly Qatl Kiya,phir Aag Lagai Khaimo Ko,

Ghazi K Alam Jala Kr Tum Ye Sabit Krna Chahty Ho,

Maqtal Me Sitam Jo Reh Gye Thy Wo Ab Tum Aakr Dhaaty Ho


Zindan Me Sakina Aur Zainab Ye Dekh K Phir Roti Hoti Hongi,

Shabbir K Matamdaron Pe Andhery Zulm Kamany Lagy,

Abi Nasal Yazeed Ki Baqi He, Tum Khud Hi Ye Batlaty Ho


Akhtar Har Matmi Ko Janat Mahshar Me Dilayengi Zahra,

Shabir K Dard Me Gum Ho Kr Jo Seena Kobi Karty Ho,

Wallah Tum Apny Hathon Se Firdos Me Ghar Banwaty Ho