zindan ke andhere qaidi mera imam
dushwar kitni qaid thi kazim imam ki
dekhi na kabhi subho aayi na shaam thi
haye kis qadar wo kothri tang o tareek thi
na sajda hi ki jaa thi na thi qayaam ki
dushwar kitni...
kuch zehr de ke maare aur kuch qatal kiye
tazeem khoob ki hai khairul anaam ki
dushwar kitni...
zanjeer o tauq to rag o pay mein paywast thay
mazdoor le ke aaye mayyat imam ki
dushwar kitni...
najfi adab se choom le bedi malang ki
jo aaj tak bataati hai tareekh shaam ki
dushwar kitni...