Kanz e Aza

Esyan Nahi Ye Matam

A noha written by Afzal Hussain Najfi. Lyrics in Roman Urdu.

matam ki sadaon se hum arsh hila denge

matam hai ye ibadat dunya ko bata denge


esyaan nahi ye matam karte rahe hai saare

is farz may shaamil hai allah ke nabi pyare


rota furaat bhi hai bachon ki tashnagi par

pani se peet'te hai abbas ko kinare

esyaan nahi ye matam...


mai dekhun kis tarha se karte nahi ho matam

kadiyal jawan ka laasha ho saamne tumhare

esyaan nahi ye matam...


be-gor o be-kafan ho kunbe tere ki laashein

qaime jala ke tere koi chadarein utaare

esyaan nahi ye matam...


paaband rassiyon may zahra ki betiyan thi

hum kyun na sar ko peete abid ko kode maare

esyaan nahi ye matam...


ehsaan hussain ka hai zibhe azeem ban kar

qurban kar ke apne hai bacha liye tumhare

esyaan nahi ye matam...


najafi hussaini matam momin ki ibadat hai

karti hai hoor-o-ghilma kerte hai chaand taare

esyaan nahi ye matam...