zainab kuja bazaar kuja
fakhre maryam be rida hai shaam ka bazaar hai
saj raha darbar hai shaam ka bazaar hai
bheedh hai bazariyon ki
saj raha darbar hai shaam ka bazaar hai
fakhre maryam be rida hai...
kaise guzregi ali ki betiyan bazaar se
sang baari ho rahi hai raasta dushwaar hai
bheed hai bazariyon ki saj raha darbar hai
fakhre maryam be rida hai...
bas na chalta tha magar abid se wo kehti rahi
maarta hai kyun tamache mujhko ye badkaar hai
bheed hai bazariyon ki saj raha darbar hai
fakhre maryam be rida hai...
maa siwa sajjad ke mere bacha koi nahi
yun na maaro zaalimon bemar hai lachaar hai
bheed hai bazariyon ki saj raha darbar hai
fakhre maryam be rida hai...
mas'ala ye hai ke tum ne usko pehchana nahi
jisko baaghi keh rahe ho khuld ka sardar hai
bheed hai bazariyon ki saj raha darbar hai
fakhre maryam be rida hai...
roo baroo baba ke apne jo na boli thi ameer
teen din deti rahi bazaar may niruvaar hai
bheed hai bazariyon ki saj raha darbar hai
fakhre maryam be rida hai...