haaton may rasiyan hai sar par rida nahi hai
zainab tera muhafiz abbas kya nahi hai
dharne ki til jagah hai bazaar may bhala kab
apni musibaton ko tu jaane ya tera rab
abbas ka sina par sar thayrta nahi hai
haaton may rasiyan hai...
allah se ahad ko tune bhi hai nibhana
in shamiyon ke haaton se uska deen bachana
tera hai aur kisi ka ye hausla nahi hai
haaton may rasiyan hai...
mumkin agar hai bibi kuch aur sar jhuka le
chadar to ye na denge balon se moo chupa le
koi sadayein sunle ye wo jagah nahi hai
haaton may rasiyan hai...
parwardigar tujhpar nazrein jamaye hoga
qadmon may tere apna taaba bichaye hoga
tujhsa siwaye tere koi doosra nahi hai
haaton may rasiyan hai...
nana ke deen ki bibi tauqeer tu badha de
himmat se hausle se mushkil ghadi bata de
uska tere siwaye mushkil kusha nahi hai
haaton may rasiyan hai...
zainab khadija saani zainab hi zehra saani
wo jaan bhaiyon ki wo noore aasmani
paband hai ahad ki be-aasra nahi hai
haaton may rasiyan hai...
har ek taraf se hogi barsaat patharon ki
lekin hai jeet sar ki aur maut patharon ki
hai ya hussain lab par lab par dua nahi hai
haaton may rasiyan hai...
asghar ki maa ka daaman khulne se tu bachana
aabad raakh se hai uska wo ashiyana
muddat se uska beta us'se mila nahi hai
haaton may rasiyan hai...
abid ye paak bibi hi hai khuda ka parda
mumkin nahi hai isko chashme na jisne dekha
ye kya hai rab hi jaane mujhko pata nahi hai
haaton may rasiyan hai...