maqtal se be-sawaar jo rahwaar aa gaya
roti hai karbala roti hai karbala
zainab ne socha ab meri chadar ka hoga kya
roti hai karbala roti hai karbala
bhai ki laash pe huwe ghode idhar udhar
dekha ba-chashme tar
aankhon mein ek behan ki ye manzar tehar gaya
roti hai karbala roti hai karbala
maqtal se be-sawaar...
fauje shaqi hai door magar paas aayegi
qaime jalayegi
baazu kata ke nehr pe soya hai ba-wafa
roti hai karbala roti hai karbala
maqtal se be-sawaar...
sehra ki khaak ho hi chuki hai lahoo mein tar
hai kat chuke jigar
wo ho chuka jo aaj talak na kahin hua
roti hai karbala roti hai karbala
maqtal se be-sawaar...
baakhi abhi hai raah ki saari qayamatein
mushkil mein hurmatein
solha sau meel faasla bazaar e shaam ka
roti hai karbala roti hai karbala
maqtal se be-sawaar...
armaan ek maa ke to dil mein hi reh gaye
bas aansu beh gaye
maqtal mein naujawan ka sehra bikhar gaya
roti hai karbala roti hai karbala
maqtal se be-sawaar...
ay nafse mutmain ab palat aa pukara rab
hona hai ab ghazab
jalti zameen pe aakhri sajda to kar ada
roti hai karbala roti hai karbala
maqtal se be-sawaar...
nazrein phupi ki tehri hui natawan pe hai
ya aasman pe hai
phir usne badke baar e imamat utha liya
roti hai karbala roti hai karbala
maqtal se be-sawaar...
asghar talak kamaan se wo teer ka safar
tha kitna muqtasar
lamha wo ek maa pe qayamat hi dha gaya
roti hai karbala roti hai karbala
maqtal se be-sawaar...
shabbir ka ye ahsan o abid pe hai karam
baksha nisaab e gham
majlis mein jo ye goonjegi awaaz jaa baja
roti hai karbala roti hai karbala
maqtal se be-sawaar...