sabre hussain karbe jawaa'n dekhta raha
jalti zamee'n pa baazu barabar ka laal tha
rukhsat huwe jo khaime se akber jihaad ko
jaise koi janaza bhare ghar se jata ho
wo bhi nazara sheh ki nigahou me rehgaya
aayi sadaey aakhri jab run se laal ki
rukhsat zaeef baap se binaayi hogayi
har soo dhuwaa'n hussain ki ankhou me chhagaya
har ek qadam pa thokare'n khaate the shaah e dee'n
laashe jawaa'n dikhaayi nahi deti thi kahi'n
kehte the laal phir se sunaao mujhe sada
kuch soojta nahi tha shahe dee'n ko raah me
maqtal ki khaak thi basi sheh ki nigaah me
laashe pe koniyou se gaye shaahe karbala
kehte the shaah aye ali akber utho utho
ankhe'n to kholo laal mere kuch jawab do
kuch haal e dil sunao to beta mujhe zara
ashoor ki azaa'n abhi kanou me hai pisar
kadiyal jawaan lag gayi kis ki tujhe nazar
bas ek baar phir se sunao wahi sada kyu aydiyaa'n ragadte ho batlaao meri jaa'n
seene pe kyu hai haath tumhe dard hai kaha'n
thamja ke phal mai barchhi ka tujhse karu'n juda
armaan dil me banu ke sab ghut ke rehgaye
aansu lahu ke laila ki aankhou se behgaye
kehti thi maa mai kis tarha jee paungi bhala
beemar ek behen tera takti hai raasta
waada jo tha behen se wo pura na hosaka
kya de'n jawaab usko teri maa zara bata
saqqa e haram tujh pe fida shaahe karbala
akber sa laal tumne rahe haq me dediya
nouha ye padhke pursa tumhe denge hum sada
kaise sohail ab ho baya'n dard o gham bhala
akber ka daagh sheh ke jigar par sada raha
bete ka koi dard na bhoole shahe huda