safar jahaan se moula e kayenaat ka hai
nabi ki aal pa ye waqt mushkilaat ka hai
lahu me doop ke ham to huwe hain sarafraaz
hassan tamaam karao namaziyou'n ki namaz
khayaal kitna imaamat ko wajibaat ka hai
nabi ki aal pa ye waqt mushkilaat ka hai
hassan hussain tadapte hai'n baap ke gham me
shareek hazrat-e-abbas bhi hain matam me
malaal sub ko yateemi ke hadesaat ka hai
nabi ki aal pa ye waqt mushkilaat ka hai
qayamat ek bapa ho rahi hai masjid me ke janemaaze ali ro rahi hai masjid me
sahar tadapti hai chehra nidhaal raat ka hai
nabi ki aal pa ye waqt mushkilaat kahai
ye kaisa haaye sitamgar ne zulm dhaya hai
usi ka masjid e kufa me khoo'n bahaya hai
qadam qadam pa muhafiz jo deeniyaat ka hai
nabi kiaal pa ye waqt mushkilaat ka hai
nikal raha hai nabi ke wazeer ka taboot ke uthraha hai janabe ameer ka taboot
ali ke sog me kufa tasawwuraat ka hai
nabi ki aal pa ye waqt mushkilaat ka hai
falak hilaati hai zainab ke shor o shain ki dhoom
tadap rahi hai janaze pa baap ke kulsoom
gila naseeb se be aasrahaya at ka hai
nabi ki aal pa ye waqt mushkila at ka hai
ye kehke dete hain moula pisar ke haath me haath
na chordna kabhi abbas tum hussain ka saath
ye meralaal asasaa nabi ki zaat ka hai
nabi ki aal pa ye waqt mushkilaat ka hai
payambarou ke labao par hai siskiya'n akhtar
na barse kaise jahaa'n me udasiya'n akhtar
ye dee'n muhafize islam ki wafaat ka hai
nabi ki aal pa ye waqt mushkilaat ka hai