Kanz e Aza

Har Ranj Saha

A noha for Darbaar e Shaam, written by Ameer Hussain Mashadi. Lyrics in Roman Urdu.

har ranj saha sadma bhi kya kya na uthaya

bazaar bhi halaat ne zainab ko dikhaya


pathar to baraste thay magar aag bhi barsi

jab khaafila abid ka bazaar mein aaya

har ranj saha...


har zulm pe sajjad ki aankhein to hai barsi

par shaam ke bazaar ne zyada hai rulaya

har ranj saha...


islam ki khatir qadam qadam pe har dard alam apnaya

thi do ta'reefaat mohamed ki usay des ba des phiraya

virse mein paak moazzama ko darbar gaya dikhlaya

par waqt ki zaalim gardish ne bibi ko khoob sataya


kuch ranj to maqdooma ko virsa mein milay thay

par waqt ki gardish ne usay bahot sataya

har ranj saha...


khudrat ne bibi zainab ki hai kismat khoob banayi

bhai ko marte dekh ke bhi royi na zahra jaayi

karbal se leke shaam talak rassiyon mein bandh ke aayi

afsos kisi bhi manzil pe aaraam na kar wo paayi


zainab ke muqaddar pe hai taqdeer bhi hairaan

zindagi mein kisi lamha bhi haye chain na paaya

har ranj saha...


ameer bacha deen ko to shabbir gaye thay

shabbir ko har haal mein zainab ne bachaya

har ranj saha...