Kanz e Aza

Haye Sajjad ne Ghum, Kaise Uthaaye Hongay

A noha for Darbaar e Shaam. Lyrics in Roman Urdu.

Log Bazar Main, Zainab Ko Jo Laaye Hongay

1- Yaad Abbas Ki Zainab, Ko Satati Hogi

Log Khayam Ko, Jab Lootnay Aaye Hongay

2- Chor Kar Kufa Ko Haye She,r-e Nabi Main Haider

Paak Sajjad Ke, Taboot Pe Aaye Hongay

3- Jab Nabi Zaadiyan Darba,ar Main Sar Nangay Gayi

Khoon Beemar Ki, Aankhon Ne Bahaye Hongay

4- Bheer Bhi Aam Thi Haaye Sar Pe, Ridaen Bhi Na Thi

Kaise Namoos Ne, Phir Chehre Chupaaye Hongay