waqt e nizha kehta raha sheh ka alamdar
haye sakina meri haye sakina
tashna dahan mar na kahin jaye dilafgaar
haye sakina meri haye sakina
haathon mein kooza liye qaime ke dar par khadi
pani ki ummeed mein hogi sakina meri
payegi jis dam khabar mashk meri chid gayi
roke kahegi chacha pyaas meri bujh gayi
dil mein rahega ye qalaq sayyed e abraar
haye sakina meri haye sakina
waqt e nizha kehta raha...
naaz uthaata raha jiska mai shaam o sahar
aaj bhatiji meri hai wohi tashna jigar
kya kahun kis darja ab gham ka hai dil par asar
tashna dahani faqat uski hai peshe nazar
chashm hui kehke yehi ghazi ki khoon baar
haye sakina meri haye sakina
waqt e nizha kehta raha...
haye nahi bujh saki bacchon ki tashna labi
waada na poora hua aur qaza aagayi
kaise kahun kis qadar mujhko hai sharmindagi
laash na jayegi ab qaime mein aaqa meri
roke yehi kehta raha sheh ka alamdar
haye sakina meri haye sakina
waqt e nizha kehta raha...
karta hoon mai to safar hogi qayamat magar
chaayegi gham ki ghata bekas o mazloom par
zulm sahegi bhala kis tarha jaan e pidar
phat'ta hai ye soch kar bakhuda mera jigar
baad mere uspe sitam dhayenge aghiyaar
haye sakina meri haye sakina
waqt e nizha kehta raha...
teeron ki baarish hui naiza o khanjar chale
zulm ki hadh hogayi baazu qalam ho gaye
mashk nahi laa sake gurz laga gir pade
nehr pe maare gaye bekhata ammu mere
sun ke khabar royegi wo bekas o lachaar
haye sakina meri haye sakina
waqt e nizha kehta raha...
shakl bhatiji ko mai kaise dikhaun bhala
maut se majboor hoon kaise mai jaaun bhala
pyaas sakina ki ab kaise bujhaun bhala
mashk mein pani nahi kaise bataun bhala
nauha yehi padta raha sheh ka madadgaar
haye sakina meri haye sakina
waqt e nizha kehta raha...
jis ka bilakna kabhi mujhko gawara na tha
pyaas se tadpegi wo maine ye socha na tha
pani mai laata nahi ba khuda aisa na tha
jang mai karta yahan sheh ka iraada na tha
keh ke yehi rone laga paikar e eesaar
haye sakina meri haye sakina
waqt e nizha kehta raha...
hai ye tasavvur faqat nauha alamdar ka
kaun likhega bhala ranj wafadaar ka
maqsad e khursheed hai ashk azadaar ka
tazkera karta hai wo shaah ke ghamkhwar ka
samjho zaban ahle aza kehte hai ash'aar
haye sakina meri haye sakina
waqt e nizha kehta raha...