meri to aas mere seene may mar jaati hai
dekhe is qaid se kab milti hai ruqsat amma
haye zindan e shaam
bebasi kaisi hai ye kaisi hai ghurbat amma
kya banegi isi zindan may turbat amma
kehna baba se khudahafiz o nasir baba
lo ke ab hoti hoo zindan se ruqsat amma
haye zindan e shaam
ab to din may bhi ujaalo se mulaaqat nahi
jo tadapkar na guzaari ho koi raat nahi
kya karoo jee ke chacha mere mere paas nahi
do dua khatm ho ab jald musibat amma
haye zindan e shaam
ab sare shaam parindo pe nazar jaati hai
aisi maqlooq hai udte hue ghar jaati hai
meri to aas mere seene may mar jaati hai
dekhe is qaid se kab milti hai ruqsat amma
haye zindan e shaam
tum inhi kapdo ko ay amma bana dena kafan
ho nahi sakte ye tabdeel ke zakhmi hai badan
baba aajaye to keh dena unhe mera sukhan
apne baba ki na kar paayi mai kidmat amma
haye zindan e shaam
mere baba ka wo seena meri amma laa do
jo tha jeene ka kareena meri amma laa do
jo tha aaraam e sakina meri amma laa do
is se pehle ke ho ab maut se khurbat amma
haye zindan e shaam
ho sake to ali asghar ka wo jhoola laa do
amma bhaiya ka mere mujhko shalooka laa do
wo jo taweez tha mannat ka khudara laa do
mujkho phir marne may hovegi na dikhat amma
haye zindan e shaam
ther jao ke khudahafiz o nasir amma
saat deti nahi ab bali sakina ki zubaan
keh do zaalim se ke ab qatm hui aah o fughan
aah karne ki bhi baakhi nahi taaqat amma
haye zindan e shaam
labe sarwar pe jo rehaan ka nauha aaya
shaam ke zindan se aane lagi awaaz e buka
jaise bachi ka koi zakhm hua phir taaza
boli kyon ahle aza karte hai riqqat amma
haye zindan e shaam